Saturday, 6 August 2016

✦ Hadith: Har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai
-------------


★ Al Quran : Logon se apna rukh na pher aur Zameen par itra kar na chal beshak ALLAH kisi Takabbaur karne wale, itrane wale ko pasand nahi karta
Surah Luqman, (31), # 18

✦ Abdullah bin Masud radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramya
Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh
ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs
jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)
Jamia Tirmizi,Jild 2,377-Hasan

----------
★ अल क़ुरान : लोगों से अपना रुख़ ना फेर और ज़मीन पर इतरा कर ना चल बेशक अल्लाह किसी तकब्बुर करने वाले , इतराने वाले को पसंद नही करता
अल क़ुरान : सुरह लुक़मान, (31), # 18

✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया क्या मैं तुमको ऐसे लोगों के मुताल्लिक न बताऊँ जिन पर दोज़ख की आग हराम है और वो आग पर हराम हैं , हर वो शख्स जो अपने करीब के लोगों के लिए आसानी और सहूलत पैदा करता है (उन सब पर दोज़ख की आग हराम है)
जामिया तिरिमिज़ी , जिल्द 2, हदीस 377-हसन

No comments: