Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: ye sab kaam jab ( ek hi din) ek shakhs mein jama ho jate hain to wo jarur jannat mein jata hai.
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
tum mein se kaun aaj rozedar hai ?
Abu bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
✦Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kaun aaj janaze ke saath gaya hai ?
Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
✦Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kisne miskeen ko khana khilaya hai ?
Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Maine.
✦Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kaun aaj mareez ki ayadat karne ke liye gaya tha ?
Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
✦Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ye sab kaam jab ( ek hi din) ek shakhs mein jama ho jate hain to wo jarur jannat mein jata hai.
{Sahih Muslim, Vol 3,2375}
✦ Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya sab logon se ziyada mujh par Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ka ehsan hai Maal ka bhi aur saath dene ka bhi.
{Sahih Muslim, Vol6, 6170}
------------------------------------
✦ Whats App par Roman / Urdu / Hindi mein Quran Hadith ke messages hasil karne ke liye
inmein se kisi ek no. par 1 send kijiye and for english messages send 2
0096550289051 / 0096599087938
1 comment:
sir maine ek blog www.onlinehindimehelp.com banaya hai use check kar ke btaye ki mujhe kya karna hai.
Post a Comment